Aman Ki Asha (Naya Door)

Aoo 
Baatain kerain pyar ki
Or apnay sunsaar ki
Nafrat, sarhad, 
Shidat
Or
Khak o khoon
In ko krdo
Ab 
Apnay say door
Zara
Maazi may to jhankoo
Honay walay
Zulm or shidat
Ko
Tum Naapo
Kia tum nay
Kabhi yay socha
Dono nay
Nafrat say
Kia khoya kia paya
Ab jo tum
Krtay ho 
Amun ka wada
Iss ko tum
Hergiz na bhulana
Aoo seekho
Apni tareekh
Say kuch
Pyar he say hai
Dunia may sukh
Aoo kaat dalo
Wo
Zahreeli fuslain
Jin ko diya tha pani
Her ik nay
Sarhad k matlab ko
Do naaey maaeni
Krlo azm
K ab
Krni jung nahi
Aoo wada kro
Kabi na
Choro gay muskil may hath
Do gay kbhi na 
ab
Aghyaar ka sath
Yaad rukho
Mil k rahnay may
he hai jeet
Yahy rahi hai
Hamesha say reet
Aoo
Do mulko may 
rahtay hoay
hum batain kerain
pyar ki